Pantakind 40mg Tablet OR Pantoprazole Uses & Side effects in (Hinglish)
Is Medicine ko Mankind Pharmaceuticals nami company banati hain is main jo composition ya salt hota hain wo Pantoprazole hain ye ek proton pump inhibitor hain jise acidity se related bimariyo main use kia jata hain ye dawai stomach main banne wale acid ko kam karti hain aur ulcers ya chalo ko thek karne ke liye bhi istemal ki jati hain
Is dawai ko
Gastroesophagal Reflux Disease main istemal kia jata hain jise GERD bhi kehte hain is main stomach ka acid esophagus main chala jata hain jis se irritation aur inflammation hoti hain
Pantakind 40mg tablet ko Zollinger-Ellison Syndrome main kiya jata hai
Small intestine main tumors hone ki wajh se stomach main acid ka production badh jata
hain .
Is dawai ko Erosive Esophagitis main use karte hain aur Antibiotics ke sath combination main Helicobacter pylori Infection main bhi use kia jata hain
Pantakind 40mg tablet ko Gastric aur duodenal ulcers main bhi use kia jata hain
Stomach main hone wale ulcers ko gastric aur small intestine main hone wale ulcers ya chalo'n ko duodenal ulcers kehte hain
Is dawai se nausea aur Diarrhoea Jaise side effects hote hain is ke ilawa pantakind 40mg Tablet se chakkar aana , sir dard aur chizo ka taste badal jana ya altered tastes wagira ho skte hain.
Skin rashes bhi kafi commen side effect hote hain
Iske ilawa bhi kafi sare side effects ho skte hai hum sirf woi effect share karte hain jo zyada commen ho
Kuch dawaiyo ko pantakind 40mg tablet ke sath lene par pantakind 40mg Tablet ka effect kam hojata hain jinmaine Hain
- Methotrexate
- Warfarin
- Nelfinavir
- Digoxin
Kuch products ko absorbe hone ke ke liye stomach main maujud acid ki zarurat hoti hain , pantakind 40mg tablet stomach ke acid ko kam kar deti hain
atazanavir, erlotinib, nelfinavir, pazopanib, rilpivirine, kuch azole antifungals (itraconazole, ketoconazole, posaconazole), wagira.
- Liver Disease
- Osteoporosis
- Hypomagnesemia
- Colitis
Pantakind 40mg Tablet ko lene ke bad agar ap koi Lab test kr waha rahe hai jaise ke Tetrahydrocannabinol (THC) to hoskta hain iska result sahi na aye , kisi bhi tarh ke test karwane se phle apne doctor ya lab technician ko apni dawaiyo ke bare main inform karna zururi hain
Pregnancy aur breastfeeding main is dawai ko lene par koi adverse effects dekhne ko nahi milte jabke sharab ke sath lene par serious interactions ho skte hain
High dose zyda time tak lene par bone fractures hone ka khatra ho skta hain jo ke zyda umar ke logo main hota hain
Pantakind 40mg tablet ko zyda time tak lene par vitamin B12 ka absorption kam hojata hain jiski wajh se Vitamin B12 ki kami hoskti hain
Pantakind 40mg tablet ko khana khane se phle lia jata hain hain
Is dawai ka asar 1 ghante ke andar dekhne ko mil jata hain jo ke 24 ghnato tak rehta hain
Dose of pantakind 40mg tablet |
Kuch cases main Maximum dose 240mg /day tak lia jata hain
Dose kam ya zyda karne se phle apne doctor ya pharmacist se confirm karna zaruri hain .
Pantakind 40mg Tablet OR Pantoprazole Uses & Side effects in (Hinglish)
Comments
Post a Comment