Is tablet ko Lupin company banati hain Is main Clopidogrel nami salt hota hain
Ye ek antiplatelet medication hain jise khoon ko patla karne main aur kafi sari dil ki bimariyo ko rokne k liye kiya jata hain
Cloptab 150mg ko Acute Coronary Syndrome main use kia jata hain yani heart muscle main Khoon ka bahao ruk jana
Is dawai ko Ischemic Stroke main yani Dimag main Khoon ka rukjana aur Peripheral Arterial Disease main use kia jata hain
Is dawai se jo severe side effects ho sakte hain un main bleeding aur thrombotic thrombocytopenic purpura hote hain
Iske ilawa
Mu aur zaban par White patches nikalna
Skin red Hona
Sans lene main takleef
Aur sir dard wagira ho skte hain hain
Kuch dawaiyan Clopitab 150mg ke effect ko kam kar skti hain Jin main hain
Escitalopram
Fluconazole
Nonsteroidal anti-inflammatory drugs
Isoniazid
Iske ilawa proton pump inhibitor omeprazole aur esomeprazole) jo ke antacid hain ye Clopitab 150mg ke effect ko kam kar skte hain
Is dawai ka asar 2 ghante main dekhne ko milta hain jo ke 12 ghanto tak rehta hain
Is dawai ko lene se phle aap ko apne doctor de confirm karna zaruri hain q k is dawai se kafi sare allergic reactions ho skte hain
Kisi bhi tarah ki injuries aur cut lagne se bachain , razore nail cutters wagira avoid karaain q ke is se bleeding ho skti hain ye aur Medicine bleeding ko badha deti hain
Heart ke operations ya surgery hone se kuch din phle is dawai ko lena band karna hota jo ke aapke doctor apkp inform karte hain bina kisi wajh se aur doctor ki salah ke is dawai ko lena band na karain
Clopitab 150 mg tablet ko sharab ke sath lene par stomach bleeding ho skti hain
Pregnancy aur breastfeeding main is dawai ko tabhi lia ja skta hain jab boht zyda zaruri ho
Agar is dawai ka dose lena aap bhool .jaye to use agle dose ke sath na le balke chor de
Zyda dose lene se is dawai ka overdose ho sakta hai
Is dawai ka loading dose 300mg hota hai jo ke bad main 75mg / day kia jata hain 12 month k liye
Clopitab 150mg Tablet (Clopidogril) Uses & side Effects _ Health Guiding
Comments
Post a Comment