Brufen 400mg tablet uses and side effects






Brufen 400mg tablet ko Abbott company banati hain is main ibuprofen nami salt hota hain ye ek NSAID hain jise mild se moderate fever ko kam karne Aur mild se moderate pain ko kam karne k liye kia jata hain
 
Surgery ke bad jo pain hota hain use kam karne ke liye bhi kia jata hain 
painful menstruation, osteoarthritis, dental pain, back pain ,headaches, and kidney stones ke pain ko kam karne ke liye use kar skte hain
 
Brufen 400mg ko inflammatory disease main b use kia jata hain jaise ke juvenile idiopathic arthritis and rheumatoid

 common side effects of Brufen 40mg tablet 




Is dawai k sab se commen side effects heart burn aur allergic reactions ya rashes hote hain 
Is dawai se serious liver disease aur kindly infection ho ksta hai. 
GIT bleeding ya ulceration ke sath sath blood pressure high bhi ho ksta hain 
Nausea, vomating ,constipation aur kano main Ringing Or Buzzing hona ye bhi side effects dekhne ko milte hain 
Is ke ilawa bhi kafi sare side effects hote hain 


Agar apko aspirin aur celecoxib ya dusre NSAID ya se allergies ho to aap ko brufen 400mg recommend nai ki jati 
 asthma , rhinitis, urticaria aur recent heart bypass surgeries main bhi ise use nai kia ja skta is se patient ki condition aur zyda kharab ho skti hain 

-  agar kisi ko peptic ulcer disease ya koi bleeding disorders jaise ke hemolytic anemia, gastrointestinal bleeding, cerebrovascular hemorrhage ho to is dawai ka istemal nai kia ja skta 

Brufen 400mg tablet ke dusri kafi sari Medicine ke sath serious interaction hote hain yani ke agar ap brufen 400mg tablet le rahe hain to aapko dusri kuch dawaiyan nahin leni chaiye jaise ke 


Methotrexate
Leflunomide
Corticosteroids
Antihypertensives
Anticoagulants
Aspirin
Adefovir
Ciprofloxacin
Ketorolac
Lithium

 Ye dawaiyan brufen 400mg ke effect ko kam kar deti hain ya modify kar deti hain aur dusre undiseable side effects bhi ho skte hain 
Sharab ke sath is dawai ko lene se stomach bleeding ho sakti hain 

Brufen 400mg tablet aap har 4 se 6 ghanta main li ja skti hain 
Ise aap maximum 1200mg / day le skte hain 
Agar aap.ko doctor ne prescribe ki ho 3200mg/ day li ja skti hain 

beufen 400mg tablet ka Overdose hone par aapko severe stomach pain, trouble breathing, extreme drowsiness ho skti hain isliye aap.apne.doctor se consultant kare tabhi dawai use karain 
Dossage of Brufen 400mg tablet

 Is dawai ko aap khane ke sath lain ya zyda pani piyaen take Gastrointestinal Effects na ho

Ye dawai aadhe se ek ghante main asar dikhati Hain jiska asar 4 se 6 ghanto tak rehta hain 

- pregnant women is dawai ko na lain ya apne doctor se consultant kare 
-



 




Comments