Tocilizumab Uses & Side Effects || Dose and Interactions AND Tocilizumab Injection For COVID-19 ?



Tocilizumab /ACTEMRA 

Tocilizumab ko atlizumab bhi kehte hain ye ek immunosuppressive drug hain 
tocilizumab ko Roche Products India Pvt Ltd nami compny Actemra injection ke naam se banati hain ise intravenously aur subcutaneously diya jata hain 
is dawai ko Rheumatoid Arthritis main use kiya jata hain 
 Rheumatoid Arthritis ye ek immune disorder hai ismian joints main pain aur swelling hoti hain
Giant cell arteritis yani swelling on head and scalp area of blood vesscles is condition main bhi Tocilizumab ka use kiya jata hain 
tocilizumab ko Systemic juvenile idiopathic arthritis aur  Cytokine release syndrome main bhi diya jata hain 
 Systemic juvenile idiopathic arthritis ek aysi inflammatory condition hai jis se fever, pain, swelling aur  2 sal ya us se zyda ki umar k baccho main developmental abnormalities hoti hain
ise Castleman's disease aur Neuromyelitis optica ke treatment main bhi use kiya jata hain 

- Tocilizumab interleukin-6 receptor (IL-6R) ko block karta hain 
 Interleukin 6 (IL-6) is a cytokine hain jo jo body main swelling ya inflamation paida karta hain
 is ke ilawa autoimmune diseases, multiple myeloma aur prostate cancer jaisi bimariyo main is ka involvement hota hain
 isi wajh se ise covid 19  main bhi use kiya jata hain kuch studies se pata chala hain ke jo patients corona virus yani SARS-CoV-2 se infected hain unke treatment ke liye tocilizumab fayedemand raha 
REMAP-CAP trail ne kafi evidence ki buniyad par  Tocilizumab ko approved drugs ki list main rakha hain 

- is dawai se hone wale side effect main se commen upper respiratory tract infections hain jo ke10% se zyada patients ko hota hain jismain common cold ya sinus infections ho sakte hain 


high blood pressure (at least 5%), headache aur kuch allergic reactions jaise rash, itching/swelling (especially of the face/tongue/throat) iske ilawa severe dizziness, trouble breathing ho sakti hain 




iske ilawa aur bhi side effects ho sakte hain kisi bhi tarh ke advesre effect hone par app apne doctor se consult kijiye

-
tocilizumab ek slow acting medicine hain jise lene ke bad iska koi bhi asar dekhne ko nahi milta par kuch time period ke bad ye kafi effective hoti hain
ise tabhi liya ja sakta hain jab aapko doctor recommed kare
-

tocilizumab ko kuch medicines ke sath dene par serious intraction ho sakte hain  jismain hain
Atorvastatin
Amlodipine
Adalimumab
Cyclosporine
Phenytoin
Theophylline
Warfarin
 Live vaccines

iske ilawa Liver impairment aur Impaired kidney function main bhi ise nahi diya jata
-
Rheumatoid arthritus main ek adult ko is dawai ka 60-minute tak single intravenous drip infusion se 4mg per kg ke hisab se har 4 week tak dose diya jata hain clinical response ko dekhte hue ye dose badha kar 8mg per kg har 4 hafte tak bhi kiya ja sakta hain  jabke Giant Cell Arteritis main ise subcutaneously 162 mg har week glucocorticoids ke sath diya jata 
dose depend karta hain disease aur condition par dose kam ya zayada kiya ja sakta hain patient ki health condition ko dekh kar aur ye sirf doctor hi kar skate hain is liye bina doctor ki salah ke kisi bhi dawai ka use na karain .


------------------------------------------
Tocilizumab in covid 19 


China ki  National Health Commission ne guidelines jari kiye jismain ye bataya ke tocilizumab covid 19  patinets ko theek kuch had tak kar sakta hain jise  March 2020 main approved  kiya gaya  lekin june 2020 tak aysa koi evidence nahi mil saka jis se pata chal sake ke tocilizumab covid 19 ke tratment main effective ho china ne 11 locations par favipiravir aur tocilizumab ko compare karne ke liye ek study ki thi  
isi doran itly main ye pata chala ke tocilizumba covid 19 ke 3 severe cases main kafi effective sabit hui 
 Naples mai  6 main 3 patiets main positive response dekhne ko mila 
tocilizumab ka severe COVID-19 cases main use karne ke liye Roche aur WHO ne seprate clinical trails bhi kiye 
is par kafi study hui roche ne double blind trails bhi kiye October 2020 main ek aur research se pata chala ke tocilizumab covid 19 ke tretment main effective nahi hain 
akhir main REMAP-CAP trail hue jis ne kafi evidence ki buniyad par Tocilizumab ko approved karwaya unhone bataya ke Tocilizumab aur sarilumab ye covid 19 se infected  patiets ka mortality rate kam kar skata hain to ise UK recommended drug list for COVID-19 treatment ke liye add kar diya gaya 
 Researchers ne ye bhi bataya ke tocilizumab and dexamethasone ko sath main dene par ye kafi effective hote hain
-----------


Tocilizumab _ Uses & Side Effects || Dose and Interactions of Tocilizumab Injection




Tocilizumab For COVID-19 ? Use Of Tocilizumab Injection In Corona Patients _ Health Guiding








Comments