Is Medicine ko USV PVT LTD company banati hain is main rosuvastatin nami salt hota hain
Rosuvastatin ye statins honte hain
Is dawai ko cholesterol aur fat jaise LDL ya triglycerides ko kam karne k liye use kia jata hain aur dil ki bimariyo ko rokne k liye bhi kia jata hain
Ye dawai liver main banne wale cholesterol ko rokti hain kar Bad cholesterol ko kam karti hain aur good cholesterol ko barhati hain
Is dawai ko
- Hyperlipidemia (high levels of lipids in the blood) khoon main mujud lipid ki zydaya matra ko kam karne ke liye
- Hypertriglyceridemia (levels of triglycerides)
- Type III Hyperlipoproteinemia (improper breakdown of lipids, causing accumulation of lipids in the body)
- mozygous Familial Hypercholesterolemia (genetic disorder characterized by high cholesterol levels)
- Prevention of Stroke aur heart attacks
Is dawai ko lene se jo side effects hote hain un main hain
- Muscle pain
- Tenderness
- Weakness
Ye side effects bukhar aur thakan k sath ho skte hain iske ilawa kidney aur liver problems ho sakti hai
Is ke ilawa
- Rhabdomyolysis
- Myopathy
- Jaundice
- Allergic reactions wagira bhi ho sakte hain.
Kuch dawaiyan roseday 20 ke sath lene se serious interaction ho skte hain aur Roseday 20mg ke effect ko khtam kar deta hain ya kam kar sakta hain in main hain --
- Leflunomide
- Atazanavir
- Cyclosporine
- Colchicine
- Gemfibrozil
- Anticoagulant for example warfarin
Roseday 20mg tablet ko red yeast rice products ke sath na le Q ke is main statin jaise lovastin hota hain
Roseday 20mg aur red yeast product ko sath main lene se serious muscle and liver problems ho sakte hain
Agar apko diabetes, Rhabdomyolysis ho ya aap sharab pite ho to aap apne doctor se consultant kare tabhi is dawai ko use karain.
Agar aap koi antacid lete hain jaise aluminium or magnesium to ye roseday 20mg tablet ke absorption ko rok deta hain
Agar aap koi bhi antacid le rahe ho to aap use 2 Ghante phele lein-
Dose of Rosuvastatin (Roseday 20mg) |
Ladies is Medicine ko pregnancy aur breastfeeding main nahi le sakti is ke liye doctor se consultant karna zaruri hain
Is Medicine ko food ke sath ya bina food ke le skte hain , agar koi dose miss hojaye to usey na le balke use Chor de .apne dose ko double na kare aysa karne se is dawai ka overdose ho skta hain
18 se 64 sal tak ka insan ise 5mg se 40mg /day le skta hain jabke 17 se kam umar main is dawai ko 5 se 20 mg / day tak hi dia ja skta hain dawai lene se phle apne doctor se dose confirm karna zaruri hain .
Ye dawai 3 se 5 ghanto main apna asar dikhati hain jo ke 4 se 5 dino tak rehta hain
Roseday 20mg tablet OR Rosuvastatin Uses & Side effects (Hinglish)
Comments
Post a Comment