Is dawai ko cipla company banati hain is main jo salt hota use Acetylcysteine kehete hain ye Effervescent tablet hain jiska flavor orange hota hain
Effervescent tablet yani aysi tablet jo pani main dalne ke bad pani main ghul jaye dissolve hojaye aur carbon dioxide release kare
Mucus yani ke Balgum wagira
Ise chest congestion main use karte yani ke thick aur sticky mucus ka airways main hona jiski wajh se asthma, bronchitis, emphysema, or cystic fibrosis wagira jure hote hain ya ho Skte hain
Mucinac 600mg tablet ko paracetamol poisoning main use kia jata hai
Paracetamol ya acetaminophen ko zyda lene se iska overdose hota jiski wajh se liver damage ho skta hai mucinac 600mg tablet ko is condition main as a antidote use kia jata hain
Is dawai ko Dry eye syndrom main bhi use karte hain jise Keratoconjunctivitis Sicca bhi kehte hain is main ankho main dard jalan strain aur itching wagaira hoti hai.
Ise kafi sari psychiatric disorders main b use kia jata hai.
Mucinac 600mg tablet se jo side effects hote hain un main
Skin allergies ho skti hain jaise
skin redness aur itching hoti hain. Bukhar ke sath rashes hona ,Sans lene main takleef hoskti hain
Nausea, vomating, thakan ,pait dard wagira bhi ho skte hain
Mucinac 600mg tablet ko kuch dawaiyon ke sath sath lene par serious interactions ho skte hain jin main hain
charcoal
ifosfamide
insulin inhalation, rapid acting
Kanamycin
Photofrin
Wagira lene se is dawai ka effect kam hoskta hain jiski wajh se dusre side effects bhi ho sakte hain
Iske ilawa is dawai ko
hepatic encephalopathy
asthma
fluid overload
gastric hemorrhage
Main nahi dia jata
Pregnancy aur breastfeeding main is dawai ko tabhi lia ja skta hai. Jab doctor ne prescribe ki ho
Ye dawai alcohol ke sath lene par koi harmful effects show nai karti
Mucinac 600mg tablet ko ek adult : 600mg /day ya 200 mg 3 dose le skta hain
Jabke 2 se 7 sal baccho ke liye is tablet ko 400mg /day ya 200 mg din main 2 bar de skte hain aur 2 sal se kam umar ke bacho ko 200 mg daily di jati hain.
Agar koi is tablet ka dose lena bhool.jaye to use agle dose ke sath na le balke chor de
Zyda dose lene se is dawai ka overdose ho ksta hai. Jiski wajh se breathlessness and convulsions jaise side effects ho skte hain.
Mucinac 600mg Effervescent tablet ko aap ko kiase lena hain?
Aadha glass pani lain is tablet ko pani main dale aur dissolve hone dain ye 30 second main dissolve hojati hain
Jab pani Puri tarah clear hojaye to ise hilayae aur pi lijiye
how to take Mucinac 600mg
- Drop the tablet in half glass of water
- Allow the tablet to dissolve completely
- Wait about one and a half minute for water to get clear
- Stir the water and drink immediately
Best Live Casino Sites in India 2021 - LuckyClub
ReplyDeleteThere are several live casino sites, but none of them will be 카지노사이트luckclub the best for you. Here are the online casinos available to Indian players: Betway; Bwin; Betway